Gandharv se Sarggek tak
Har kahani kahin na kahin se shuru hoti hai. Meri shuruaat kagaz aur kalam se hui. Main likhta gaya, din pe din, raat pe raat. 200 se zyada lyrics likhe, kuch adhure, kuch poore. Par har ek line ek beej thi. Aur jaise ek ped ke har shaakha ek doosre se judi hoti hai, waise hi mere shabd bhi ek samay ke baad ek dusre se milne lage. Tab ek soch aayi: Ye sirf lyrics kyun rahe? Kyun na inhe awaaz di jaye, beat pe utara jaye? Kyunki ye shabd sirf shabd nahi the. Ye mere struggle the, meri achievements thi, mera dard, meri khushiyaan, sab kuch inmein bas gaya tha. Har line meri soch ka ek tukda thi, aur har tukda mila kar meri kahani banata tha. Aur isi kahani se paida hua Sarggek. Sarggek sirf ek naam nahi hai. Ye ek soch hai, ek sach hai. Aur sach badalta nahi. Aaj bhi wahi hai. Is safar me tumhe pata chalega ki Sarggek kaun hai, aur kaise ek “Gandharv” ne apna asli roop paaya. Lyrics se gaane tak, kagaz se mic tak, aur ek insaan se awaaz tak, meri journey jaari hai.
Written By- Sarggek
Chapter 1
Gandharv kehta hai ki sab log same hai. Bas uski anter atma ka bhav alag hota hai. Jo log anter atma ko samaj leta hai wo log sirf achai ke raste par hi jata hai, aisa hi uske life me ek din hua ki, wo kisi ki madat kar raha tha aur achanak se usko ek admi me bola ki tum uski madad kyu kar raha hai. Usne kaha ki mera maan kiya toh maine kya, tum koun hote ho mujhe bolne wala..mera maan jo kare me wo karunga.. life
Written By- Sarggek